Monday, 30 March 2015



Aapki Batein…….
Batein nehi hoti aapki
Aab saab bhul gaye hain
Jinko bhee aapne jis bhee
Rang mein ranga thaa- wo saab
Rang aab dhul gaye hain….
Pata nehi aapko, aapko
saab bhul gaye hain. Aap
kyon rehte hain- itne aanmane
bechain aur begaane……..?
Wo kab the aapke aapne…….
Jinhen chale the aap apnane?
Maan lo aab to aap…
Ja rahe ho jinhen manane…..
Wo saab aapko bhul gaye hain.
Din gujar gaya…….raat beet gayee…..
Jo baat thee bhee unke
aur aapke darmyan…..samay ki maar se
Wo ssaare raaj khul gaye hain-------
Aapko aabtak malaal hai lekin
Yakeen nehi ki woe saab aapko
Bhul gaye hain….Aapke chahat ki
Nadi mein dhaar ki kami nehi….
Lekin rishton ke saare pul jo
Aapne banaye the……unmein
se ek bhee na bachaa…..
woe sare pul gaye hain.
Kya aap aab bhee na manoge
Ki wo saab khwab riston ke….
Jo aapne bune the…..saab dhul
gaye hain-------aab to maan lo….
Gilii aankhon ko ragar kaar….
Syah aasmaan ko pehchan lo-----
Hamesha ke liye jaan lo ki…
Batein aab hogi nehi aapki
aab saab aapko bhul gaye hain………

No comments:

Post a Comment